ir a principal | Ir a lateral

MASTI

Kab se khamoosh hoon, kahoon kaise

Wednesday, 1 July 2009

Kab se khamoosh hoon, kahoon kaise
Besada daastan likhoon kaise

gola baarood se hai surkh gagan
Neelgon phir isey karoon kaise

Toote phoote se jism bikhrey hain
rang laaega ab yeh khoon, kaise?

Phir se firaun khuda ban baithay
aur tamashaai hum hain youn,kaise

Kal to baatain thi dil ki jaanan ki
Aaj aah o fughan sunoon kaise

Maut ko zindagi pe waaray hain
koi rokay ga yeh junoon kaise

Ik maseeha ko dhoondhtee hai nazar
tukray tukray hai dil, siyoun kaise

Chaar soo dushmanon ka pehra hai
Maire rehbar tujhey miloon kaise

Tung dil, tungnazar huii duniya
Aise halaat main jiyoun kaise

Kaisi wehshat hai un nigahon main
tairi deewangi sahoon kaise

Ai khuda koi dua sun ke na sun
bus UNHAIN sarnigoon karoon kaise?

Dil ke aaeene saare toot gaye
Koi chehra bhi main parhoon kaise

Ab na mausam kabhi badalte hain
Barf ke shehr main rahoon kaise

Sar katane ki bus tamanna hai
Go nahin fikr ke kab? kyon? kaise?

Mujhko Seema naheen taraddud kuch
Aa ke dunya se ab chaloon kaise

Posted by chirag at 05:04  

0 comments:

Post a Comment

Newer Post Older Post Home
Subscribe to: Post Comments (Atom)

Archivo del blog

  • ▼ 2009 (19)
    • ► August (6)
    • ▼ July (13)
      • |:| Amazing Glass Balcony |:|
      • Agar Din Mein 24 ghante hote
      • Huacachina LAKE IN THE MIDDLE OF DESERT {MUST SEE}
      • A Place above the clouds in INDIA{must see}
      • HOME MADE LAMBORGHINI
      • THE THINGS YOU DONT KNOW ABOUT NOKIA
      • Top 5 Fastest Cars in the World
      • Why INDIA is in trouble
      • IF TITANIC WAS MADE IN INDIA....
      • Poochte ho to suno
      • Kab se khamoosh hoon, kahoon kaise
      • New Electronic Market In China
      • Tata Motors to introduce Air Car - (A Car That Run...

tublogaquí.blogspot.com
Diseño de Pinkseo | A Blogger por Blog and Web